hai ye ahbab ko israr ki holi khelun tod dun aaj to main zohd-o-taqaddus ka fusun mast ho kar main piyun jam-e-sharab-e-hasti hama-tan baada-e-ishrat ke nashe mein jhumun apni sanjida rawish aur udasi chhodun gham ke asnam ko but-khana-e-dil mein todun jal uthen gham ke shabistan mein masarrat ke charagh barbat-e-dil ke har ek tar ko phir se jodun mujh ko bahlaenge kya ahl-e-tarab ke naghme aur tyauhaar ki rangin khushi ke lamhe main ne har naqsh-e-masarrat ko daba rakkha hai aur dekhe hain hasin daur ke sundar sapne suni suni nazar aati hai bisat-e-hasti na kahin shisha-o-saghar na surur-o-masti chashm-e-muflis mein larazte hue ashkon ke charagh qalb-e-nadar hai jaise koi ujdi basti aaj insan ka insan lahu pita hai aaj tahzib ka sultan yunhi jita hai dewta jabr pe rawan ke hirasan jaise daman-e-arman ko nadar yunhi sita hai aaj insan hua makr-o-dagha ka daftar qalb-e-zardar hai ehsas-e-khudi ka khugar be-khabar ho ke gharibon ki dabi aahon se aadmi kibr-o-raunat ka bana hai paikar holiyan khelte hain khun-e-bashar se munim apne aamal pe hota nahin insan nadim aah aflas se thukrai jawani ka shabab fikr ki dhup se larzan hai misal-e-mujrim qalb-e-mahkum hai is daur mein sunsan dayar ho gaya hai dil-e-majbur dukhon se bezar kya na aaega kabhi dahr mein parhalad ka daur aag holi ki kisi roz banegi gulzar mutmain aaj na duniya ka makin hai koi dahr mein kibr se khali na jabin hai koi aaj zardar bana baitha hai hiranyakashyap aah is daur mein dam-saz nahin hai koi har taraf kibr-o-raunat ke sulagte hain alaw har taraf zist ke gulshan mein hai shoalon ka jamaw aaj phir holika parhalad ko le baithi hai phir se is jalti hui aag ko gulzar banao phir badalne hain mujhe bekas-o-majbur ke bhag aaj bhi daste hain nadar ko zardar ke nag jazb-e-ehsas ke shoalon ki tapish se ek din zar ki lanka mein laga dena hai ek bar phir aag