husn ko bad-guman rahne de raaz-e-dil raaz-dan rahne de nigah-e-nim kash ki umr daraaz naubat ek darmiyan rahne de hasrat-e-unfawan-e-raaz-o-niyaz ruh par hukmaran rahne de ishq ki kaenat hai hirman aarzu ka ziyan rahne de naqsh-e-na-kuda ke tasawwur ka ye mita sa nishan rahne de qismat-e-ishq to hai qismat-e-ishq bare mannat ki shan rahne de na-saza-wariyon ka kya kahna bas inhen mehrban rahne de han mujhe khud hai e'tiraf-e-shikast ab mera imtihan rahne de wada-e-shauq tha fareb-amez bas use raegan rahne de dost kis kis ka tha dil-e-be-dost ye zubun dastan rahne de hadiye kya kya diye the kis kis ko sharh ye qissa-khwan rahne de mere tahtush-shuur ki duniya tah-nashin aur nihan rahne de rahi kin gul-rukhon se sheftagi ab ye shewa bayan rahne de bhul phulon ki pyar shahin ka swang ye gul-fishan rahne de hai jahan gard aur hijaz-parast la-ubaali jawan rahne de ghayat-e-ashiqi hawas-kari hai baja meri jaan rahne de shauq tha shauq ta-ghubar-e-guman mit chuka wo jahan rahne de