kal jab main nahin rahunga rahengi meri nazmen tumhaare aas-pas hi mera ehsas dilati huin tum se bolti batiyati huin meri yaad mein jab bhi dhadkega tumhaara dil dhadak uthengi meri nazmen jab bhi tumhaari sans ka koi lamha puchhega meri nazmon ko khil uthengi meri nazmen mahak mahak uthengi meri nazmen jab kabhi tum lautogi ghar thaki hui mil jaengi meri nazmen tumhein tumhaare takiye ke pas aur thamengi tumhaari banhon ko waise hi jaise thamta hun main tumhaari banhen har raat jab bhi hogi tez barish tan lena meri nazmon ko chhatri ban tumhaari hifazat karengi meri nazmen kisi sard kohre bhari raat mein jab kanpengi tumhaari deh odh lena meri nazmon ko doshaale ki tarah jo dengi tumhein wahi garmi tazgi aur wahi pyar