shama bujhani thi to jalaya kyon tha yun be-rukhi se munh modna tha to anjuman mein bithaya hi kyon tha wo dekho falak pe chand kaisa udas dikh raha hai dekho zara dekho to us ki aankhen kaisi dabdaba aai hain chand se mera kya rishta hai sirf itna hi na ki har raat main use ek bar dekhta tha aur use dekh kar hath hila diya karta tha chand kahin bhi hota tha baadalon ki ot mein kisi bade darakht ke sabz patton ke pichhe ya unchi imaraton ke chhajjon ke pichhe wo daud kar bahar nikal aata tha shafqat se labrez muskan bikher deta tha aur main main use dekh kar hath hila diya karta tha tum se to behtar hai wo chand jo mujhe tanha dekh kar udas ho utha aur tum tum ne taras bhi nahin khaya shama bujhane mein shama bujhani thi to jalaya kyon tha yun be-rukhi se munh modna tha to anjuman mein bithaya hi kyon tha