shajar hajar hun ki insan hun ya sitare hun sabhi hudud ke ek daere mein rahte hain ye kaenat zaman o makan ki qaid mein hai har ek shai hai uruj o zawal ki paband har ek manzil-e-akhir hai manzil-e-awwal jahan se ek nai manzil ki justuju mein sabhi haqiqaton ko takhayyul ka rang dete hain safar mein ruk nahin sakte qadam musafir ke zamin bhi ghumti hai raste bhi chalte hain har ek ufuq pe zamin aasman se milti hai ghadi chale na chale waqt to guzarta hai