ye jina kya ye marna kya kuchh bhi to hamare bas mein nahin ek jal bichha hai khwahish ka aur dil hai ki phaila jata hai hum bachne ki jitni koshish karte hain phanste jate hain ye reg-e-rawan-e-umr hi kuchh aisi hai ki dhanste jate hain jab ret hamare pairon ke niche se khisakne lagti hai duniya ki tamanna bujhti hui aankhon mein sisakne lagti hai har sans ukhadne se pahle sine mein dahakti jati hai aur dhire dhire chadar jism-o-jaan ki masakti jati hai ye jina kya ye marna kya kuchh bhi to hamare bas mein nahin