hujum

ye hujum-surat aasman-e-siyah mere aqab mein hai
main bade buland shajar ka phal bade fasle ka shikar

ghamza-e-raaz-dar
kaha gaya ki zamin ek kaf jo pahad mauj-e-nasim gesu-e-khalwati

so zamin saya-e-tirgi ki misal mere aqab mein hai
mujhe nind se jo utha ke jura-e-ab de

jo pas-e-ghubar chahaar-samt se aa ke mera halak ho
jo dam shaguft-e-gul-shafaq meri kuhniyon se qarib ho

wo hujum-e-khalwatiyan-e-khas mere aqab mein hai
main samaaton ka shikar tha

tu samaaton ka sahab surat-e-ab mere aqab mein hai
koi raste mein nahin mila

koi barg-o-bar-o-gul-o-shajar
koi nan-o-lahm-e-guzishtgan

koi aankh nind khayal khwab abr shitab nahin mila
koi khwab-zada nahin mila

sar-e-khud-nehada nahin mila
sar-e-khud-nehada ba-kaf ye mein ki zamin ek kaf-e-ju

pahad mauj-e-nasim gesu-e-khalwati
sar-e-khud-nehada ba-kaf ye main ki hujum-e-mar-e-siyah mere aqab mein hai

main bade buland shajar ka phal
bade fasle ka shikar ghamza-e-raaz-dar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close