tum nahin jaante is dhund ka qissa kya hai dhund jis mein kai zanjiren hain ek zanjir kisi phul kisi shabd kisi tair ki ek zanjir kisi rang kisi barq kisi pani ki zulf o rukhsar lab o chashm ki peshani ki tum nahin jaante is dhund ka zanjiron se rishta kya hai ye fusun-kar tamasha kya hai! tum ne bas dhund ke us par se tiron ke nishane bandhe aur idhar main ne tumhaare liye jhankar mein dil rakh diya kadiyon mein zamane bandhe jao ab rote raho waqt ke mahbas mein khud apne hi gale se lag kar tum mere sina-e-sad-rang ke haqdar nahin ab tumhaare mere mabain kisi did ka na-did ka asrar nahin!!