jab kitabon ke nawishton se phisal kar meri darmanda nigah chaar-su phaile hue safha-e-ayyam pe ja padti hai dil mein ek huk si uthti hai ubhar aate hain dukhte hue jaankah sawal phir isi huk ke lahje mein khuda bolta hai zindagani ki kadi sharten hain ye ibaadat hai tumhaari ki mere bakhshe hue dukh jhelo in parindon ka, bahaim ka tasawwuf dekho kaise minqar-shikasta tair dane dane ko taras jata hai danon mein ghira musht-e-par khak mein dhal jati hai rafta rafta jaan kho dene ke be-zar irade ke baghair kisi shikwe ke baghair aur ye mujh se bada dars samajh mein nahin aata meri kis liye us ki mashiyyat ne kiya dukh paida sochta hun to dhalak aate hain ashkon mein sawal hai meri soch mere apne liye ek azab us pe aaed hi nahin mere sawalon ka jawab