main aaj daftar mein subh pahuncha to ek naya zard zard chehra nazar pada jis ko dekhte hi man mere dil mein ek daricha khula aur us ke aqab se us zard shakl ki ham-shabih ek surkh shakl ubhri sharir gustakh be-takalluf ubhar ke mere qarib aai qarib aa kar nazar mila kar wo khilkhila kar hansi aur apne sharir poron se mere collar ki sakhtiyan paemal kar din safed baalon ke pech-o-kham mein siyahiyon ki lakir khinchi nigah se sab khushunaten aur jabin se sab silwaten mita din mujhe dariche se le ke nikli tawil rahon pe sabza-zaron mein lahlahate hasin kheton mein chand taron mein phir rahi thi ki jab achanak daricha-e-dil ke band hone se waqt ke pul-siraat ki tez dor tuti wahi safedi ke pech-o-kham the wahi safedi ke pech-o-kham ke tale jabin par shikan nigah mein khushunaten ru-ba-ru wahi zard zard chehra jo kanpti ungliyon se file ko mez par rakh ke hat raha tha