yahi thakan ki jo in bastiyon pe chhai hai utar na jae parindon ke shahparon mein bhi ye tute phute makanat unghte chhappar charagh-e-sham ki dhundli si raushni ke amin na in ka yar koi hai na koi nukta-chin na jaane kab koi dast-e-sitam idhar aa jae aur is zara si bachi raushni ko kha jae ye khilkhilate hue hanste muskuraate log bason mein railon mein manzil ki samt jate log koi dhamaka inhen jaane kab uda jae lahu ke dhabbon pe afsos karta hakim-e-shahr aur us ke baad mohabbat pe chand taqriren jo ahl-e-shahr ki peshaniyon pe raushan hain malal ye hai ki us ko koi na dekhega hum ahl-e-khauf ke sinon mein jo dhadakta hai