raat ke pur-kaif sannate mein bansi ki sada chandni ke sim-gun shane pe lahraati hui gunjti badhti larazti kohsaron ke qarib phailti maidan mein pagdandi pe bal khati hui aa rahi hai is tarah jaise kisi ki yaad aae nind mein dubi hui palkon ko uksati hui aasmanon mein zamin ka git lahrane laga chha gaya hai chand ke chehre pe khiffat ka ghubar bazm-e-anjum ki har ek tanwir dhundli ho gai rakh diya nahid ne jhunjhla ke hathon se sitar zarra zarra jhum kar lene laga angdaiyan kahkashan takne lagi hairat se su-e-ju-e-bar yun fazaon mein rawan hai ye sada-e-dil-nashin zehn-e-shair mein ho jaise ek achhuta sa khayal ya sahar ke sim-gun rukhsar par pahli kiran surkh honton se bichhae jis tarah boson ke jal gah thamti gah sannate ka sina chirti yun faza mein uth ke ho jati hai maddham hae hae sham ki dhundhlahaton mein dur koi karwan kohsaron se utar kar jaise maidanon mein aae