meri manind wo bhi zulmat-e-shab ki musafir thi andhere raston mein subh-e-nau ke khwab aankhon mein sajae ba-nam manzil be-nam uftan aur khezan qadam apne badhae sahar ka khwab aankhon mein sajae safar jitna bhi hum tai kar rahe the masafat thi ki badhti ja rahi thi sukut-e-subh ki mayusiyon mein jo ek tanha rafiq-e-rahrawi thi wahi sham-e-tamanna bujh rahi thi azab-e-tirgi nazil hua mujh par bhi is par bhi ki ye hukm-e-falak tha sahar ka khwab donon ka gunah mushtarak tha