bahut si aawaz jama kar ke ek chikh banai ja sakti hai bahut thode lafzon se ek baghi nazm banai ja sakti hai lekin zinda qabristan mein ek nazm ka katba kafi nahin qabren dam sadhe padi hain hamari maen murda bachchon ko janm de rahi hain lashen shanakht karte hue hujum apna chehra bhul jata hai! hum zindagi se sohbat karne nikle the aur zindagi ne hamare khusiyon se kenche bana liye hamare lahu mein chyuntiyan rengti hain magar hum apni marzi se khujli tak nahin kar sakte qatar mein khade khade hum dusron se mukhtalif kaise ho gae!!! zindagi mizan hoti to hum us ke palde apne wajudon se bhar dete magar kya karen ki hum khud apni nazron mein bahut be-wazn the hatheliyon mein surakh hon to aankhen kahan sambhaalen hum ne sirf chehre nibhae rishte nahin pyasi zaminon mein aansu kasht kar ke bhi bund bhar hariyali nahin khili hum sari umr apne khwabon ke jolahe bane rahe aur apne bachchon ke liye ek saya-dar parcham na bun sake hamari mitti mahz mitti rahi kabhi watan na ban pai!!!