tumhaare chehre par sirf do aankhen meri aashna hain jo mujh se ham-kalam rahti hain main tumhein apni tamam hissiyat ki yaksui se mila hun tumhaara jism meri poron ke liye ajnabi sahi lekin phir bhi tumhaari khushbu mein lipta hua tumhaara lams mujhe basi nahin hone deta kanakhiyon se dekhte hue sochta hun tumhein ji bhar kar dekhne se bhi aankhen bhuki rah jati hain! ai mere be-baha! kash main har samt se hazar aankhon se tumhein dekhta lakhon masamon se tumhaare lams chunta aur tumhaare donon honton ko apne pure badan se chum sakta!