hum kahan aa gae sare be-samt hain qafile karwan sarban ek sailab-e-adam rawan chaar su ek tag-o-taz-e-kar-e-jahan aasman se pare sair-e-sayyargan aur zamin-doz pahnaiyon mein nigahon ki hairaniyan ab kahin bhi nahin matam-e-marg-e-be-chaargan har adalat mein insaf ki arziyan baatilon ki tarafdariyan phir utha le gae banu-e-be-rida sare chup-chap hain koi pursan nahin girya-e-tifl-e-be-chaargan koi sunta nahin khwab bimar aankhon mein marte hue khud-kushi chaar-su bain karti hui ye meri arz-e-jannat-nishan jo pukari gai qibla-e-arfan mabad-e-nuriyan kucha-e-dilbaran basti-e-ashiqan maqtal-e-harf-o-saut-o-sada ban gai ab lahu-rang hain sare tishna-laban sadiq-o-sadiqa naz-bardar-e-ashuftagan