hum khizan ki ghudud se chal kar khud december ki kokh tak aae hum ko footpath par hayat mili hum patangon pe let kar roe surajon ne hamare honton par apne honton ka shahd tapkaya aur hamari shikam tasalli ko june ki chhatiyon mein dudh aaya barf bistar bani hamare liye aur dozakh ke surkh resham se hum ne apne liye lihaf bune zard shiryan ko dhuen se bhara phephadon par siyah rakh mali naga-saki mein phul kasht kiye nazm bairut mein mukammal ki lorka ko kalai par bandha ho-chi-minh ko niyam mein rakha sadhe lenin baje school gae subh-e-isa ko sham mein rakkha armughan-e-hijaz mein soe hollywood ki azan par jage diary mein sudhaar tha likha dard ko falsafe ki lori di zakhm par shairi ka phaha rakkha tan mashinon ki thap par thirke dil kitabon ki tal par nacha hum ne firaun ka qasida likha hum ne kufe mein marsiye beche hum ne boson ka karobar kiya hum ne aankhon ke aaine beche zindagi ki lagan nahin hum ko zindagi ki hamein thakan bhi nahin hum ki hero nahin wilen bhi nahin