kya kahun zakhm kitna gahra hai dur tak sirf mahz sahra hai har qadam par bagule raqsan hain rah mein har-su shoale raqsan hain na shajar hai na koi saya hai koi chashma na koi dariya hai dhup sar par barasti rahti hai pyas lab par larazti rahti hai tirgi chashm-e-tar pe tari hai aur safar hai ki phir bhi jari hai