jab wo apne gharon se nikle un ke saron pe kafan bandha tha dilon mein josh aankhon mein be-khaufi qabile ki buzurg-tarin hasti ne pukarna chaha apni talwaren lete jao lekin un ke patthar hone ka dar tha jab wo apni bastiyon se nikle un ke sinon mein dabi hui aahen thin honton pe larzishen hath duaon ke liye daraaz us ne pukarna chaha apne razm-name lete jao lekin khamosh rahi jab wo sarhadon pe pahunche un ki aankhon mein taswiren thin dilon mein hasraten qadmon mein laghzishen us ne bahut chaha ki unhen na pukare apni loriyan lete jao sabhon ne mud kar us ki taraf dekha aur kaha hum patthar nahin hain