us ki hatheli mitti se lipti hui thi chehre pe us ke kisi baat ki jaldi thi suraj ab apne ast par tha aur laut rahe the ghar ko parinde kal gharon mein manega tyauhaar hai logon ke aangan wirajengi ye murtiyan logon ke liye ye bhagwan hai aur mere hath mein hongi kuchh ashrafiyan yahi soch kar main der tak baitha hun ki koi kharidar to bacha hoga jo le jae ye mitti ki murat aur meri jeb mein do rupaya to hoga phir main bhi ek murti kharid lun aur bachchon ko kahun ki wo thaal sajae le jaunga phul aur thodi mithai bhagwan se kahun ki de de thodi si kamai roz kitni der tak karun mein yun intizar andhere mein mitti ke diye jalane tak ka tel nahin hai phir din raat kyun banaun main teri murat jab mere haalaton ka koi sawer nahin hai he ishwar tere chaukhat par to sabhi barabar hain mandir mein baitha tu isi murti-car ke ghar se jata hai to kya khush hona mera adhikar nahin ya tujhe aakar dena mera punny nahin