hum sab kitne tanha hain apne andar apna sab dukh-dard samete apne chehron par naqli muskan sajae tu bhi main bhi tanha hain aur aate-jate lamhon ko dekh rahe hain yun jaise un se apna gahra rishta hai kitne pagal hain hum donon main bhi tu bhi un aate-jate lamhon ko apna samjhe baithe hain ye kab apne ho sakte hain aankhen munde badhte jaana sajal suhane sundar sapne palkon palkon chunte jaana un ki apni aadat hai kaise murakh hain hum donon zahr ghamon ka pite hain tu bhi main bhi jite hain