roz yun hi hota hai soch ke darichon se yaad ki hasin pariyan nachti utarti hain hath tham kar mera sang sang chalti hain aur phir wahi qissa ibtida se aakhir tak harf harf khwabon ka pairahan badalta hai screen pe jaise koi film chalti ho aur har tamashai dam-ba-khud ho hairan ho is hujum mein tanha dekh kar koi mujh ko mere pas aata hai har sawal aankhon ka aise mujh ko takta hai jaise tazkira us ka khud meri kahani hai main use pakadne ko jab bhi hath phailaun silsila khayalon ka tut kar bikhar jae jaise raushni gul ho screen bujh jae jaise ikhtitam se pahle film hi thahar jae roz yun hi hota hai