hum to shair hain hum sach nahin bolte jaan-e-jaan sach pe kyon itna israr hai sach ki azmat se kab hum ko inkar hai hum bhi shair hain aakhir usi qaum ke jis ka har fard bikne pe tayyar hai hum hain lafzon ke tajir ye bazar hai sach to ye hai guzarte hue waqt se faeda jo utha le wo fankar hai hum na suqraat hain hum na mansur hain hum se sach ki tawaqqoa hi be-kar hai tez talwar si waqt ki dhaar hai is liye jaan-e-jaan apni tahrir se khauf-e-tazir se sachche moti kabhi hum nahin rolte hum to shair hain hum sach nahin bolte fasl aati hai jab hifz-e-pindar ki sach ke izhaar ki hum haqaeq se nazren churae hue maslahat ke janaze uthae hue sar jhukae hue laut jate hain mazi ke sahraon mein baith kar phir gham-e-zat ki chhanw mein sochte bhi nahin bolte bhi nahin sahme sahme hue log milte hon jab har taraf zakhm ke phul khilte hon jab jaan-e-jaan kam se kam aise mausam mein hum harf-e-haq to kuja lab nahin kholte hum to shair hain hum sach nahin bolte