bahut aziz hai mujh ko watan aziz watan watan ki khak hai ambar meri nigahon mein watan ke qatre samundar meri nigahon mein watan ke zarre hain gauhar meri nigahon mein watan ke khar gul-e-tar meri nigahon mein bahut aziz hai mujh ko watan aziz watan meri nigahon mein waqat hai tur-e-sina ki meri nigahon mein azmat hai arsh-e-ali ki meri nigahon mein izzat hai sari duniya ki magar hai khak-e-watan surma chashm-e-bina ki bahut aziz hai mujh ko watan aziz watan mere watan mein hai gautam ka faiz-e-ruhani mere watan mein hai gita ki sham-e-nurani mere watan mein hai ganga ki pak-damani mere watan mein hai nur-e-azal ki arzani bahut aziz hai mujh ko watan aziz watan watan ki gard watan ki zamin watan ki hawa watan ki sham watan ki sahar watan ki faza watan ke kuche watan ke chaman watan ki ada hai yaad un ki ilaj apne ranj-e-ghurbat ka bahut aziz hai mujh ko watan aziz watan buland-rutba-e-gardun se kar-gah-e-watan buland-hausla-e-dil se bargah-e-watan kalim-e-dil ke liye tur-e-jalwa-gah-e-watan nashat-e-ruh ki zamin hai sajda-gah-e-watan bahut aziz hai mujh ko watan aziz watan