shurua shurua mein achambhe achchhe lagte the shauq bhi tha aur din bhi bhale the achchhe logon se milne ka shauq junun ki had tak har lamha betab liye phirta tha jab koi apna hero apne aadarsh ka paikar samne aata ji ye chahta aankhen bichhaen dil mein bithaen baaten sunen itni baaten sail-e-zaman se unchi baaten dil ke gahre gham ki baaten duri aur nazdiki lafz bahut chhote hain un lafzon ko parkho to insan aur bhi chhote nikalte hain pas bula kar jise dekho us ka chehra faq be-rang bhabhut ki surat kala kala kya suraj bahut niche aa gaya hai kya maon ne bachche jan kar dudh pilana chhod diya hai goliyan kha ke dudh ke sote khushk karne wali maon plastic ke bags mein raat-raat-bhar bachchon ka peshab jazb karne wali maon nind tumhaari bahut mithi hai thik hai tum bhi bebas ho mard gharon se ghaeb hon to man ki mamta bilak bilak kar nind ki goli ke aangan mein so hi jaya karti hai khwab-awar goli ye bhi to aaj ki aham zarurat hai masnui palken aankhon se utar ke asli chehra mat dekho goliyan khao so jao aaram karo subh tumhaare sar ke upar suraj ki aur bhi garm shuaen raqs karengi achchhe log subh ko kuchh aur sham ko kuchh aur raat ko un ke khun ki tughyani mein un ke hath aur un ki aankhen bilkul jangali chuhe jaisi malum hon pahle-pahal ye achambha tha khauf ki tah mein anjaane ko jaanne ki khwahish makdi ke jale ki manind phaili pahle-pahal pistanon mein dard ki tisen bahut uthin phir yaad nahin masnui palken itni lambi hain main apne pair ke naqsh ke aage dekh nahin sakti hun kahte hain ki hawa chali hai khep nae logon ki jin ko achchha kahne wale sath sath hain pahunch gae hain shahr kinare suraj ab to itna niche aa pahuncha hai us ko utha ke dur kisi kone mein dafan karo raat ki chadar odhne se pahchan ka rishta shukr khudaya tut to jata hai ai rab tu wali-e-kaun-o-makan tu sab ke dilon ke haal se waqif hai to hum ko bata hum kya sochen hum ne khwahishon ke sare parinde uda diye hain