ye chup kitne din ki thi jo aansoon mein dhali ye gahri chattan aisi pathrili jamid anokhi si chup us ka chhuna bhi mumkin tha tab ye chup thi ki pura wajud apna jo aansoon mein dhala batao to is chup ki bhedon bhari thah mein shor kya tha batao to kya gunj thi ek sada dusri se hum aahang jis mein na thi jaise sadiyon ke be-khwab dhundli shabihen dhuan-dhaar jalti chitaon mein ghir kar tadakhti uchhalti hun kahti hun taqdir bar-haq hai bar-haq hai zinda atal ham-ahang gardish sitaron ki hai pad gain jo fazaon mein liken purani wo un par phire ja rahe hain phire ja rahe sab haden un ki paimuda hain magar apne khwab-o-haqaeq ka sail-e-azim koi leak us ki bana de magar kyon kabhi jo bana de bhi koi to socho hamare qadam aur likon ka rishta kahan tak ki ek had pe mit jaengi wo to kya hum bhi tham jaenge hum to badhte hi rahte hain chahe wo zilzal ho jo humakta nazar aae chahe wo ek soch ho jo tarashe chali jae be-shor-o-shewan siyah dahshaton ke pahad saza-war raftar hum aur har ek gam par paemali wo apni ho ya dusron ki tassuf mein aur sog mein ek jaisi hai apne liye safina tha bhaari to kya kya na kuchh phenk dala mizha se tapakte hue qatra-e-ashk ka bar khwabon se khushbu ka bojh nichoda to lahren bhi halki gulabi huin rundhi lai mein gati rahin dil dikhati rahin koi hum se puchhe ki ab waqt kya hai to hum kah uthen ek sada hum is mein khape kho gae ab sada par bhi tazir kaisi sada do ki ek bol ki pyas apne gulo mein jalae khadi hai sitam-kash tamanna kinara-e-furaat