jo phul sare gulistan mein sab se achchha ho farogh-e-nur ho jis se faza-e-rangin mein khizan ke jaur-o-sitam ko na jis ne dekha ho bahaar ne jise khun-e-jigar se pala ho wo ek phul samata hai chashm-e-gulchin mein hazar phulon se aabaad bagh-e-hasti hai ajal ki aankh faqat ek ko tarasti hai kai dilon ki umidon ka jo sahaara ho faza-e-dahr ki aaludgi se baala ho jahan mein aa ke abhi jis ne kuchh na dekha ho na qaht-e-aish-o-masarrat na, gham ki arzani kanar-e-rahmat-e-haq mein use sulati hai sukut-e-shab mein farishton ki marsiya-khwani tawaf karne ko subh-e-bahaar aati hai saba chadhane ko jannat ke phul lati hai