aaj ke nam aur aaj ke gham ke nam aaj ka gham ki hai zindagi ke bhare gulsitan se khafa zard patton ka ban zard patton ka ban jo mera des hai dard ki anjuman jo mera des hai clerkon ki afsurda jaanon ke nam kirm-khurda dilon aur zabanon ke nam post-manon ke nam tange walon ka nam rail-banon ke nam kar-khanon ke bhuke jiyalon ke nam baadshah-e-jahan wali-e-ma-siwa, naeb-ul-allah fil-arz dahqan ke nam jis ke dhoron ko zalim hanka le gae jis ki beti ko daku utha le gae hath bhar khet se ek angusht patwar ne kat li hai dusri maliye ke bahane se sarkar ne kat li hai jis ki pag zor walon ke panw-tale dhajjiyan ho gai hai un dukhi maon ke nam raat mein jin ke bachche bilakte hain aur nind ki mar khae hue bazuon mein sambhalte nahin dukh batate nahin minnaton zariyon se bahalte nahin un hasinaon ke nam jin ki aankhon ke gul chilmanon aur darichon ki belon pe be-kar khil khil ke murjha gae hain un biyahtaon ke nam jin ke badan be mohabbat riya-kar sejon pe saj saj ke ukta gae hain bewaon ke nam katdiyon aur galiyon mohallon ke nam jin ki napak khashak se chand raaton ko aa aa ke karta hai aksar wazu jin ke sayon mein karti hai aah-o-buka aanchalon ki hina chudiyon ki khanak kakulon ki mahak aarzu-mand sinon ki apne pasine mein julne ki bu padhne walon ke nam wo jo ashab-e-tabal-o-alam ke daron par kitab aur qalam ka taqaza liye hath phailae wo masum jo bhole-pan mein wahan apne nanhe charaghon mein lau ki lagan le ke pahunche jahan bat rahe the ghata-top be-ant raaton ke sae un asiron ke nam jin ke sinon mein farda ke shab-tab gauhar jel-khanon ki shorida raaton ki sarsar mein jal jal ke anjum-numa hogae hain aane wale dinon ke safiron ke nam wo jo khushbu-e-gul ki tarah apne paigham par khud fida hogae hain