aao apne dil mein dard-e-la-dawa paida karen shiddat-e-gham mein masarrat ka maza paida karen tut jae jin se taghir-e-zamana ka fusun wo yaqin paida karen wo hausla paida karen nur-e-khurshid-o-surayya jis se ho jae khajil zarra-e-nachiz mein aisi ziya paida karen khud-bakhud uth jaengi pabandiyan mahaul ki ek zara hum jazba-e-wahshat-faza paida karen wo jo hona chahte hain zindagi mein kaamyab ishq se nisbat junun se wasta paida karen ho jinhen manzur taskhir-e-jahan-e-rang-o-bu pahle wo chashm-e-haqiqat-ashna paida karen raaz-e-hasti ek din hoga ai 'mansha' be-naqab shart ye hai hum nigah-e-ba-safa paida karen