pesh-ahang

junun-e-shauq ke dam se hai izz-o-shan-e-hayat
yahi hai ruh-e-mohabbat yahi hai jaan-e-hayat

qiyam nam hai kis ka ise nahin malum
hamesha garm-e-tag-o-dau hai karwan-e-hayat

ziya-e-ishq se qalb-o-nigah raushan ho
to khud-bakhud nikhar aati hai dastan-e-hayat

gham-e-hayat ko hans hans ke jo uthata hai
usi ko milta hai yan lutf-e-jawidan-e-hayat

jo tu sune to kahun ek baat nukte ki
khudi se badh ke nahin koi pasban-e-hayat

khudi se tu ne agar rishta ustuwar kiya
ajal mita nahin sakti tera nishan-e-hayat

mila hai hazrat-e-iqbaal se use aahang
hua hai 'mansha' tabhi aisa naghma-khwan-e-hayat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close