guzar raha hai idhar se to muskuraata ja khile nahin hain jo ghunche unhen khilata ja tujhe qasam hai sukun-azma nigahon ki kisi gharib ki taqdir ko jagata ja wahi nigah wahi ek tabassum-e-rangin charagh-e-anjuman-e-yas ko bujhata ja junun-nawaz teri mast-gamiyon ke nisar kamand-e-hosh-o-khirad se mujhe chhudata ja fareb-khurda-e-bazm-e-hayat hun yani meri nigah se ab ye hijab uthata ja utha ke chehra-e-rangin se parda-e-asrar harim-e-dil ko phir ek bar jagmagata ja