chand pe ja pahuncha insan

jo bhi mushkil rah mein aai pal mein thi aasan
apni himmat se insan ne mara wo maidan

mitti boli mere dil ka nikla aaj arman
chand pe ja pahuncha insan

rocket ek uda dharti se aur hawa mein pahuncha
us ko hawa se kya lena tha dur faza mein pahuncha

us se bhi kuchh aage nikla aur khala mein pahuncha
himmat main tujh par qurban

chand pe ja pahuncha insan
jo bhi mushkil rah mein aai pal mein thi aasan

ab mirrikh bhi dur nahin hai chand pe jaane wale
teri himmat par nazan hain aaj zamane wale

dur zamin se sayyaron ka khoj lagane wale
ilm-o-hunar ki ek nai tarikh banane wale

tera kaam hai aali-shan
himmat main tujh par qurban

chand pe ja pahuncha insan
jo bhi mushkil rah mein aai pal mein thi aasan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close