sirf husn han sirf husn najat-dahinda hai aankhon ka jo ghatiya pinjron mein qaid hai aur mamuli manazir mein mahbus kisi gali-sadi la-yaniyat ki tarah najis kisi bhule hue lafz ki tarah aaseb-zada kyun nahin bujh leti aulad-e-adam ki khul jaega sara chhupao ek haibatnak khali thahrao mein jo ek saffak bedari se mohr-band hai ek madfun parwaz ki tarah ek hunut-shuda ufuq ki tarah bil-akhir hasti ki zad-bum par dhund chha gai ab cockroach ghaarat-gar fateh hain us kaenat ke jahan waqt abhi ajnabi nahin hua un ki saltanat mein tarikh mamnua hai zamane par kharash dalti khar-dar tughyani hawadis se pare chalti hui takra rahi hai qadim chattanon se ek bahut hi siyah raat ke sahme hue sitare ek pur-haul faza mein sans leti khamoshi jise hum khwab karna chahte hain khwab jauhar hain asil nind ka insani aankhon ka hamare sayyare aur hamare zamane itne khallaq nahin hain ki bana saken ek sachchi raat jo sahaar sake abdiyat se tarashi hui wo tahdar gahrai jis se takhayyul ka qimash buna gaya hai yaqinan hamein ek nind ki zarurat hai kisi asatiri sitare ka dabiz ka hi saya ghaibi dhundalke ko sanwarta ujalta ek dil, ek zakhm---- bana sakte hain dekhe ko an-dekha dard kafil hai ruh ka lafz ki bulughat tak shole ki pukhtagi tak