maut ka intizar safed chaak se aasman ke siyah mathe par do nam ek allah ka ek rasul ka phir safed chaak donon honton ke darmiyan us ka dudh shir aur shahad mila baen jaanib mud kar ek diwar par karl marx ka nam us par ugi huin khaufnak zabanen aur us ke atraf khule ho bijli ke tar sanp laplapate hue daen jaanib ek khuli hui khidki ek jhonpadi jis mein nahati hui ek doshiza pistanon se ubharti hui zarkhezi kulhon par chamakti hui dhup khudawand zamin raushan ho rahi hai aankhen band tute hue khilaunon ki dukan aur un mein pade hue langde ghode aur be-sund hathi waqt bada wazni hai aur sust raftar