is husn ko ab kijiye kis husn se tabir ye husn nazar-pash hai ya aks-e-takhayyul ye nim-nigahi hai ki jalwon ka tasalsul ye husn-e-tarannum hai tabassum hai ki tufan ya jalwa-e-shadab hijabon mein numayan ye husn ka hasil hai ki jalwon ka taqaza daman-e-nazar parda-e-mahmil hai sarapa ye jalwa-e-be-tab hai ya barq-e-sharar-khez ya jam-e-mohabbat hai ki jazbaat se labrez nazzara-e-gul-rang hai paimana-e-rahat aks-e-nazar-afroz hai aaina-e-fitrat ek paikar-e-hairat hai ki ek sehr ki taswir daman-e-faza par hai khayalat ki tahrir taslim hai ki maigi-e-nutq ki taqsir