rangin khwab ban ke samati chali gain madhoshiyon ko aur badhati chali gain allah re shan-e-husn ki taslim-e-shauq par nazren uthae sar ko jhukati chali gain husn-e-jahan-panah ki allah re kashish har ek nigah ko barq banati chali gain nindon mein husn aur jawani ki karwaten khwabon ke raaz raaz banati chali gain allah re ye naqab ye husn-e-fusun-taraaz pardon ke tar tar udati chali gain un ke jalal-e-husn ka charcha hai har jagah kal raat chand ko bhi jhukati chali gain aai ho thahro zinat-e-bazm-e-makan bano jhijkin rukin thahar ke lajati chali gain allah tab kaise main laun nigah ki rag rag ko jaise barq banati chali gain 'sahba'-asar nigah hai har jumbish-e-nigah nazron se jam-e-mast pilati chali gain