wo sal-khurda chattanen jo aasman ko chhute hue bagulon ki zad mein sabit rahi hain ab reg-zar mein muntaqil hui hain hua ke nazuk khafif jhonke pe mushtail hain udi jo gard ta qadam bhi to abr ban ke falak pe chhai magar jo suraj ne aankh mal ke use kureda to khak ho kar wahin giri hai hua ke raftar kab ruki hai bahao dariya ka mustaqil hai khafif khunki hai salb hai shab mein zamin mehwar pe ghumti hai abhi bhi rahm zamin mein thos aur sayyal daulaton ki kami nahin hai har ek shai hai har ek shai hai wo waqt lekin wo waqt phaila hua tha kohsaron aabshaaron sulagte sahraon gahre phaile samundaron mein ab unchi imaraton qahwa khanon baron phisalti caron chamakti sadkon ghadi ke mahdud hindison mein simat gaya hai wo jis ki ungli se chand shaq ho wo jis ke zakhmi dahan se dushman ki fauj par rahmaton ki thandi phuwar barse wo jis ki mutthi mein wo jahan ki tamam daulat tamam sarwat simat gai ho wo apne khali shikam mein patthar ka bojh bandhe kahan hain is ke ghulam aakhir kahan hain is ke wo nisf baqi bhi mil chuka tha ye nisf hasil bhi chhin chuka hai husul kal sahal hi tha lekin wo ek manzar phisalti caron chamakti sadkon ki haw-hu mein wo ek manzar ghulam naqa nashin ho aur nakel aaqa ke hath mein ho kahan se aae