gahre shahron mein rahne se wusat ka ehsas mita la-mahdud khalaon ki khamoshi ka khauf mita ab aaram hai jangal ka jadu aur hawaon ka sangit nahin to kya hai ab aaram ki ab agyan ke paida-karda hath nahin zalim hath ki jin hathon mein hath diye mazhab ke viranon mein main mara mara phirta tha ab aaram samundar ki aawaz nahin to kya hai us basti ki sab galiyon mein chalne ki aazadi hai us basti ki galiyon ke namon mein neki aur badi ke nam nahin sidhe-sade nam hain jaise lalach ghussa bhuk mohabbat nafrat sab galiyon mein chalne ki aazadi hai shahr nahin hain chaaron jaanib shor hi shor hai kya hai gahre shahron mein rahne se azmat ka ehsas mita lambe hamlon par jaane ka qudrat se takrane ka arman mita ab aaram hai shahron mein insan mita