ye surmai si sham ragon mein jis ki daudta hai khun shafaq ke lala-zar ka kisi hasina ki utari odhni ki tarah malgaji si sham jo lamha lamha khamushi ke band ki asir hai ye aasman ki samt munh utha ke kis ko yaad karti hai ye misl-e-dagh lala-e-chaman siyah aankhon mein jo aansuon ka nur bharti hai to kya use bhi hai khabar ki aansuon ki raushni charagh-e-roz-o-shab se shokh-tar hai rang o nur mein ye dhire dhire uth ke aasman pe nasha ki tarah se chhai jati hai ishaara karti hai tu tare raushni ki samt khinch ke aae jate hain siyahiyon mein surkhiyon siyahiyon mein raushni ka ye hujum dekhna to ungliyon se panw ki kamar talak kamar se ta-ba-ru-e-ambarin na jaane sard kyun hai sham ye tujh se kis ne kah diya ki daman-e-chaman mein aaftab ko zamin ne dafn kar diya