jagmagati hui yaadon ke hasin aanchal mein aaj phir qafila-e-subh-o-masa thahra hai shahr ke dil ke dhadakne ki sada tez hui pyar ki chhanw mein ek git ne li angdai daur-e-tarikh ki betab guzargahon se kitne phulon ki mahak le ke mohabbat aai har taraf ab bhi ham-aghosh hai tabiron se ek dildar ke khwabon ki jawan ranai husn ke nam se baqi hai chamak taron ki ishq ke pas hai andaz-e-chaman-arai teri tahzib ki rahon mein lutane honge dida-o-dil ki umangon ne khazane kitne in fazaon mein hai ehsas-e-wafa ki khushbu ye dar-o-baam sunate hain fasane kitne tere mathe pe hai almas-o-guhar ki tabish tere honton pe hain bedar tarane kitne teri shadab bahaaron se gale milte hain zindagani ke ujalon mein zamane kitne jagmagati hui yaadon ke hasin aanchal mein aaj phir qafila-e-subh-o-masa thahra hai