kya chahta hun

na takmil-e-ahd-e-wafa chahta hun
na tajdid-e-jaur-o-jafa chahta hun

main ek qalb-e-be-muddaa chahta hun
tere ishq ki intiha chahta hun

meri sadgi dekh kya chahta hun
nahin hoga koi bashar shokh itna

koi be-adab is qadar shokh itna
na musa hue tur par shokh itna

zara sa to dil hun magar shokh itna
wahi lan-tarani suna chahta hun

jale dil ka arman hun ahl-e-mahfil
magar bazm ki jaan hun ahl-e-mahfil

usi par main qurban hun ahl-e-mahfil
koi dam ka mehman hun ahl-e-mahfil

charagh-e-sahar hun bujha chahta hun
karam ho ki ho dawat-e-baryabi

ki ho khana-e-dil ki mere kharabi
hazimat ho ya muzhda-e-kaamyabi

sitam ho ki ho wada-e-be-hijabi
koi baat sab se juda chahta hun

mashaqqat mubarak rahe zahidon ko
ye zahmat mubarak rahe zahidon ko

ye ishrat mubarak rahe zahidon ko
ye jannat mubarak rahe zahidon ko

ki un ka main bas samna chahta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close