hypocrite

main ek chhichhla aadmi hun
mere dost bhi meri tarah hi hain

shahr ki har aisi waisi jagah
kabhi na kabhi hum se gulzar rahi hai

hum ne apna kafi waqt
ul-julul kaamon mein lagaya hai

aur duniya badalne jaise
ut-patang khwab dekhe hain

aur ab
jab hum par duniya ka sach khula hai

hum munh chhupae nazar churae
pith par aatma lade

wichaar-dhaara le lo
ki aawaz lagate

gali gali ghum rahe hain
chhichhle pani mein

koi badi shai dubte dekhna
nayab nazara hota hai

to
aao aao aao

mujhe mere chhichhle-pan mein dubte dekho
ticket hazar rupae matr


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close