ye khar-zar-e-jahan saf kar raha hun main zamin par hai banana mujhe khud apna bahisht tere bahisht ko thukra ke main nikal aaya main aadmi hun itaat nahin hai meri sarisht nahin wo chahiye jo hath utha ke milta hai chaman ho apna gul apne hon aur apni kisht muqaddaraat ki ghuttas hai ab to ziq-e-nafas shikasta karna hai zanjir-e-halqa-ha-e-nawisht main aa raha hun sanbhaal apne chand taron ko lagegi auj-e-surayya pe khak-e-arz ki khisht wo dekh mere haraawal faza se aage hain kashish ki tut chuki hai har ek qaid-e-zisht na kar sakenge hukumat ab aql-e-insan par muhafizan-e-haram aur lo'batan-e-kunisht