azm se banta hai mustaqbil-e-aqwam-e-jahan azm-e-insan ko samajh aaj ki haalat ko na dekh abtari sath ki uljhi hui maujon ka hai nam asl shai ruh hai bigdi hui surat ko na dekh saz bajte hain mohabbat ke darun-e-mahfil tu dar-e-yar ke darban ki shaqawat ko na dekh kar-e-takhliq-e-bahaaran mein hain shoale filhaal sawan aata hai bas ab jeth ki hiddat ko na dekh aaj ka khun hai rang-e-gul-e-farda ke liye dard-e-zakhm-e-dil-e-majruh ki shiddat ko na dekh ashk moti sadaf-e-waqt mein ban jaenge ho ke mayus gulu-giri-e-riqqat ko na dekh pesh-rau pesh-e-nazar hain yahi aadab-e-hayat subh hone ko hai ab raat ki zulmat ko na dekh