tumhaari haddiyan mudti nahin hain rahm-e-madar se nikalne ke liye betab ho sote raho ye ghar grihasti ka zamana hai maweshi astabal mein jaenge aur unt kheme mein faras ibn-e-ziyaada ke liye uzw ziyaada hai sawari waste mushki hiran zanjir karte hain zamin-e-shor se shorida-sar ifrit se baune samundar se gulabi machhliyan mitti se suraj mukh ka jangal chaar-diwari se uth kar dekhta hai aanganon mein hal nahin chalte abu-suifyan se main ne suna tha abu-suifyan se main ne suna tha aanganon ka haal khemon ki khabar ghodon ke jal jaane ka qissa jab bidak kar bhag uthe the maweshi unt suraj-mukh sipah-zade abu-suifyan ke bete abu-suifyan se main ne suna tha abu-suifyan se main ne suna hai aanganon ki khair likkhi hai ziyaad-ibn-e-ziyaada ne nai belen chadhai hain purani kursiyon par mez par khargosh pala hai ghadon mein nariyal ki kasht ki hai beach angnai mein likkha hai tumhaari haddiyan mudti nahin hain rahm-e-madar se nikalne ke liye betab ho ye ghar grihasti ka zamana hai maweshi astabal mein jaenge aur unt kheme mein