hilal-e-id bana hai kalidi-e-aish-o-nashat jahan mein bichh gai phir se masarraton ki bisat khushi se phule samate nahin hain mard-o-zan mahak uthe dar-o-diwar aur sehn-e-chaman gali mein kuchon mein rahon mein shah-rahon mein masarraton ke nazare hain khanqahon mein andhere munh hi parinde bhi chahchahane lage qadam qadam pe lage mele shadyane baje hai kaif-o-masti ke aalam mein aaj pir-o-jawan ibaadaton ka nasha de gaya mah-e-ramazan khuda ke din ka kis tarah ho bayan huzur khuda har ek ko khushi id ki nasib kare hamari nasl ko is din se qarib kare