kahan jaana tha mujh ko kis nagar ki khak baalon mein sajaana thi mujhe kin tahniyon se dhup chunna thi kahan khema lagana tha meri mitti rah-e-sayyargan ki ham-qadam nikli meri palkon pe tare jhilmilate hain badan mein aag jalti hai magar panw mein khun-asham raste ladkhadate hain ye kya shiraaza-bandi hai ye meri be-pari kis kunj se ho kar baham nikli nazar mein din nikalta hai paron mein sham dhalti hai magar main to lahu ki munjamid sil hun badan ki kisht-e-viran mein ye kis ki ungliyon ne umr bhar mujh ko kureda hai kahan shiryan mein chalta hua ye qafila thahra ki main us hath ki rekhaon mein rang-e-hina thahra kahan jaana tha mujh ko kis jagah khema lagana tha