id

zaban par id ka naghma hai dil murjhaya jata hai
labon par hai tabassum aur kaleja munh ko aata hai

ki nanga hai kisi kambakht ka jism aaj ke din bhi
kahin diba-o-atlas ka amama jagmagata hai

gale milne ka saman aur ye paen bagh ki saj-dhaj
yahan aish-o-masarrat ka sabaq dohraya jata hai

udhar us meind par is soch mein baitha hai ek dahqan
ki dekhe aaj ki dali mein kya inam pata hai

koi dast-e-hinai mein liye hai tahniyat ka khat
kahin tarsa hua ek hat uth kar thartharaata hai

uthai hai kisi ne khair-maqdam ke liye chilman
kisi kamsin ko aaj us ka randapa khae jata hai

kahin to qahqahon se chhat udi jati hai aiwan ki
kahin ummid ka tuta sa dipak timtimata hai

ye kaisi id hai ai dost is ko aur kuchh kah le
ki sunte the hilal-e-id roton ko hansata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close