ye johd-o-kashmakash ye kharosh-e-jahan bhi dekh adbar ki, saron pe ghani badliyan bhi dekh ye top ye tufang ye tegh o sinan bhi dekh o kushta-e-nigar-e-dil-ara idhar bhi aa aa, aur bigul ka naghma-e-jaan-afrin bhi sun aa, be-kason ka nala-e-andoh-gin bhi sun aa, baghiyon ka zamzama-e-atishin bhi sun o mast-e-saz-o-barbat-o-naghma idhar bhi aa taqdir kuchh ho, kawish-e-tadbir bhi to hai takhrib ke libas mein tamir bhi to hai zulmat ke hijab mein tanwir bhi to hai aa muntazir hai ishrat-e-farda idhar bhi aa