main safar mein hun mere jism par hain hazar rangon ki yurishen kahin surkh phul khila hua kahin nil hai kahin sabz rang hai zahr ka magar aaina shab-e-shahr ka meri dhaal hai jo visal hai wahi asl hijr-misal hai mere samne wahi raste wahi baam-o-dar wahi sang hain wahi suliyan mujhe sham aai hai shahr mein mujhe sham aai hai shahr mein jahan aasman ki wusaton se sawal kasa-ba-dast laute the yaad hai shab hila jo tujhe yaad hai wo salib jis pe machan najm-e-sahar ki thi wo khatib jis ka khitab abru hua se tha wo sada-e-zabt ajib thi kahin kodhiyon ki shifa bani kahin abr-o-baad se chob-e-khushk tadakh rahi thi sawer se badi der se yahan marqadon ke gulab panw ki dhul hain main safar mein hun mujhe sham aai hai shahr mein mere hath mein bhi kaman hai mujhe tir de